Thukura ke usne kaha ki muskura do,
Mein muskura diya aakhir
Sawal uski khusi ka tha.
Mene khoya vo jo mera tha hi nahi,
Usne khoya vo jo shirf uska tha.
Jab kiya hamne ijhar-e-mohbbat,
Ek ajeeb si sharm ne dhak liya uske chehre ko,
Inkar sa mehsus kyon hua na jane mere ko.
Na jane isme bhi kasoor kiska tha,
Usne khoya vo jo shirf uska tha.
Tanhaeyan kya hoti hai mehsus karli uske bad,
Har mahfil me bhi tanha hai hum aaj.
Kyon kiya usne meri mohbbat k sath dhokha,
Ek bar to de deti mohbbat nibhane ka ek moka.
Na jane isme bhi kasoor kiska tha,
Usne khoya vo jo shirf uska tha.
Kash vo aaye jindagi me ek bar fir,
Hame bhi pyar ka ehsas dilaye ek bar fir.
Mar mitenge hum to aaj bhi us par,
Hum kabhi mare the jis par.
Na jane isme bhi kasoor kiska tha,
Usne khoya vo jo shirf uska tha.
Hame to aaj bhi intejar hai uska,
Dil tha kabhi diwana jiska.
Na jane kyon vo nahi aate,
Hamesha hame hi kyon vo satate.
Na jane isme bhi kasoor kiska tha,
Usne khoya vo jo shirf uska tha.
Facebook Orkut
0 comments:
Post a Comment