Rasto Me Patharo Ki Kami Nahi Hai
Milna Tha Itefak Bichadna Nasib Tha, Wo Itni Dur Ho Gayi Jishe Hona Karib Tha. Hum Usko Dekhne Ko Taraste Hi Reh Gaye, Jiski Hatheli Me Likha Humara Nasib Tha !! Rishte Banane Ke Liye Bas Ek Pal Chahiye, Par Ushe Nibhane Ke Liye Dil Chahiye, Khelta To Sagar Bhi Hai Lehro Se, Par Ushe Thaamne Ke Liye Bhi Saahil Chahiye !! Bate Usse Kahi Dil Ka Dard Kho Gaya, Logo Ne Hamse Pucha Aaj Tumhe Ye Kya Ho Gaya Hum Bekrar Aankho Se Sirf Hans Paaye, Bus Yahi Na Keh Paye Ke Hame Pyaar Ho Gaya !! Aap To Chand Ho Jise Sab Yaad Karte Hai Or Hamari Kismat To Taro Jaisi Hai Hume Yaad Karna To Dur, Khwahish Ke Liye Tutne Ki Faryad Karte Hai !! Har Bar Uski Salamati Ki Dua Karnge Uski Arzu Me Apni Hasti Fana Karnge Wo Chahe Daman Bachale Humse Lekin Hum Marte Dumtak Usse Wafa Karnge !! Benam Sa Yeh Dard Thahar Kyun Nahi Jata, Jo Dur Hai Dil Se Utar Kyun Nahi Jata, Ek Chehra Jo Barso Se Hai Ajnabi, Woh Khwab Hai Toh Phir Bikhar Kyun Nahi Jata !! E Mere Humdum, Mere Dost, Mere Yaar, Tere Se Shikha Hum Ne Karna Zindagi Se Pyaar Jabse Payee Hai Maine Dosti Teri, Uss Khuda Ka Shukriya Kartay Hain Baar Baar !! Rasto Me Patharo Ki Kami Nahi Hai, Dil Me Tute Sapno Ki Kami Nahi Hai, Hum Chahte Hai Usko Apna Banana, Per Uske Paas Apno Ki Kami Nahi Hai !!
Pramod Ambady
Romeo Never Dies
0 comments:
Post a Comment